nasib aajmaane ke din aa rahe hain
karib unke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
sab unko sunane ke din aa rahe hain

abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
k lutne-lutaane ke din aa rahe hain

tapkane lagi un nigahon se masti
nigahein churane ke din aa rahe hain

sabaa fir hamein poochti fir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain
(sabaa=breeze)

chalo ‘Faiz’ fir se kahin dil lagayein
suna hai thikane ke din aa rahe hain

नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं
करीब उनके आने के दिन आ रहे हैं

जो दिल से कहा है, जो दिल से सुना है
सब उनको सुनाने के दिन आ रहे हैं

अभी से दिलो-जाँ सरे-राह रख दो
क लुटने-लुटाने के दिन आ रहे हैं

टपकने लगी उन निगाहों से मस्ती
निगाहें चुराने के दिन आ रहे हैं

सबा फिर हमें पूछती फिर रही है
चमन को सजाने के दिन आ रहे हैं

चलो ‘फैज़’ फिर से कहीं दिल लगायें
सुना है ठिकाने के दिन आ रहे हैं