aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein
zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein
jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale
jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein
kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah
khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein
woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh mere
fool patte teri yaadon mein bicha dein yaadein
(zood-faramosh=jaldi bhoolne wala)
jaise chahat bhi koi zurm ho aur zurm bhi woh
jiski padaash mein ta-umar saza dein yaadein
(padaash=zurm ki saza)
bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
warna insaan ko pagal na bana dein yaadein
(ne(h)mat=blessing)
March 3, 2009 at 1:17 am
Baba ji bohat hee kaim… kmaal likhya hai Faraz saab ne…
Par word ‘jood-faramosh’ nahi hai… it’s ‘zood-faramosh’
March 3, 2009 at 7:54 am
Thanks ! I corrected it.
April 4, 2009 at 12:20 am
“bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
warna insaan ko pagal na bana dein yaadein” bahut Khoooob……
December 24, 2010 at 10:18 pm
wah nice poetry really heart touching!
March 21, 2011 at 1:07 pm
Lovely lovely words. Thank you for sharing this. Has anyone sung this ghazal?