abhi kuch aur karishme…

Another beauty by Faraz Sahab…it looks like a continuation of suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain.

abhi kuch aur karishme ghazal ke dekhte hain
Faraz ab zara lehza badal ke dekhte hain

judaiyan to mukaddar hai fir b jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain

rah-e-wafa mein hareef-e-khiraam koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hain
(hareef-e-khiraam – leading)

tu sahmne hai to fir kyon yakeen nai aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

yeh kaun log hain mauzood teri mehfil mein
jo laalchon se tujhe aur mujhko jal ke dekhte hain

yeh kurb kya hai k yakza hue na door rahe
hazaar ek hi kaalib mein dhal ke dekhte hain
(yakza – together, kurb – closeness)

na tujhko maat hui hai na mujhko maat hui
so ab ke dono hi chaalein badal ke dekhte hain

yeh kaun hai sar-e-sahil k doobne wale
samundaron ki tahon se uchal ke dekhte hain
(sar-e-sahal – bank,kinara)

abhi talak to na kundan hue na raakh hue
hum apni aag mein har roz jal k dekhte hain
(kundan – bright)

bahut dino se nahi hai kuch uski khair khabar
chalo Faraz ku-e-yaar chalke dekhte hain…
(ku-e-yaar – street of the beloved)

3 Comments

  1. nice poem..
    some of the words you’ve pronounced with Indian/Hindi accent..
    the 6th verse seems to be confusing you :)… couldn’t help helping you out..

    “kubar” is actually Qurb or kurb, it means closeness,
    and also… sar-e-“sahal” should be “sahil” as this is the correct pronunciation.. won’t comment on the words that are in different accent (like lehza is actually lehja.. but well writing urdu in english is a bit confusing)..

    keep up the good work..

  2. @Saman:

    Thanks so much for pointing out the errors. I am going to make the corrections.

    Keep coming and commenting.

    Thanks once again for stopping by 🙂 .

  3. Aankh se Door Na ho”awesome,lajawaab,kya khoob kaha hai…aankh se door na ho……………..guzar jaayega…..bahut garahayi hai in shabdon mein….waah ….” Wekhshatein “bahut khoob……..” chalo-wo-ishq-nahee-ahmad-fraz”main aaina hoon ,mujhey tootne ki aadat hai…….subhaan allah…” Aashiqi mein Meer Jaise Khwab “aashiqui mein meer jaise khwaab mat dekha karo baavle ho jaaoge ,mahtaab mat dekha karo bahut khoob ahmad faraz sahib…..” Is Qadar Musalsil Thi”aaj pahli baar humne unse bewafai ki…….. bahut khoob…………kai baar sun chuki hoon…shukriya…” Kali Deewar “ek safed imaarat jiski nagar nagar mein dhoom………. bahut jazbaati nazm sunai hai faraz sahib ne……shukriya…” Silsile Tor Gaya Woh “kya kahne…….kamaal ka kah gaye aap to…..” Suna Hai Log Use”suna hai bole to……………baat kar ke dekhtey hain…… bahut khoob farmaya aapne…..” Yeh To IssKa Hai Karishma “waah……..is se zyada kya kah saktey hain…..waah…..”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *