nazar bujhi to karishmein bhi roz-o-shab ke gaye
ke ab talak nahin aaye hain log jab ke gaye
(roz-a day,daily, shab-night)

karega kaun teri bewafaion ka gila
yehi hai rasm-e-zamaana to hum bhi ab ke gaye
(rasm-custom)

girifta dil the magar haunsla na haara tha
girifta dil hain magar haunsle bhi ab ke gaye
(girifta-seized,smitten)

ab aaye ho to yahan kya hai dekhne ke liye
yeh shahar kab ka hai veraan wo log kab ke gaye

tum apni shama-e-tamanna ko ro rahe ho Faraz,
in aandhiyon mein to pyaare chiraag sab ke gaye
(shama-lamp,candle)

Another misra that Faraz saab didnt recite here (from here)

magar kisi ne hamein humsafar nahi jaana
ye aur baat ke hum saath saath sab ke gaye

(this poem starts at 19:05)

नज़र बुझी तो करिश्में भी रोजो शब् के गए
के अब तलक नहीं आये हैं लोग जब के गए

करेगा कौन तेरी बेवफाइयों का गिला
यही है रस्मे ज़माना तो हम भी अब के गए

गिरिफ्ता दिल थे मगर हौंसला न हारा था
गिरिफ्ता दिल हैं मगर हौंसले भी अब के गए

अब आये हो तो यहाँ क्या है देखने के लिए
ये शहर कब का है वीरान वो लोग कब के गए

तुम अपनी शमा-इ-तमन्ना को रो रहे हो फ़राज़
इन आँधियों में तो प्यारे चराग सब के गए

मगर किसी ने हमें हमसफ़र नहीं जाना
ये और बात के हम साथ साथ सब के गए