aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein
zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein
jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale
jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein
kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah
khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein
woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh mere
fool patte teri yaadon mein bicha dein yaadein
(zood-faramosh=jaldi bhoolne wala)
jaise chahat bhi koi zurm ho aur zurm bhi woh
jiski padaash mein ta-umar saza dein yaadein
(padaash=zurm ki saza)
bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
warna insaan ko pagal na bana dein yaadein
(ne(h)mat=blessing)
Recent Comments