A wonderful ghazal by Nayara Noor.
har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko
woh khawab k dekha na kabhi
le uda neendein
woh dard k utha na kabhi
kha gaya dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko
yahan saans ka lena b guzar jana hai jee se
yahan marka-e-ishq bhi ik khel qatil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko
woh aayein to hairaan
woh jaayien to pareshaan
ya rab koi samjhaye yeh kya ho gaya dil ko
har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko
I am not sure if this ghazal is complete or not. Also don’t know the name of the writer. If anybody knows, please post in the comments. So as per the comments the poet is Shohrat Bukhari
Recent Comments