Another beauty by Faraz Sahab…it looks like a continuation of suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain.
abhi kuch aur karishme ghazal ke dekhte hain
Faraz ab zara lehza badal ke dekhte hain
judaiyan to mukaddar hai fir b jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain
rah-e-wafa mein hareef-e-khiraam koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hain
(hareef-e-khiraam – leading)
tu sahmne hai to fir kyon yakeen nai aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain
yeh kaun log hain mauzood teri mehfil mein
jo laalchon se tujhe aur mujhko jal ke dekhte hain
yeh kurb kya hai k yakza hue na door rahe
hazaar ek hi kaalib mein dhal ke dekhte hain
(yakza – together, kurb – closeness)
na tujhko maat hui hai na mujhko maat hui
so ab ke dono hi chaalein badal ke dekhte hain
yeh kaun hai sar-e-sahil k doobne wale
samundaron ki tahon se uchal ke dekhte hain
(sar-e-sahal – bank,kinara)
abhi talak to na kundan hue na raakh hue
hum apni aag mein har roz jal k dekhte hain
(kundan – bright)
bahut dino se nahi hai kuch uski khair khabar
chalo Faraz ku-e-yaar chalke dekhte hain…
(ku-e-yaar – street of the beloved)
Recent Comments