Tag: Urdu

aa k meri jaan mein qaraar nahi hai

Beauty of Mirza Ghalib

aa k meri jaan mein qaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
(bedaad=injustice)

dete hain jannat hayaat-e-dahar k badle
nasha ba-andaaza-e-khumar nahi hai
(hayat=life, dahar=world)

giriya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye k rone pe ikhtiyar nahi hai
(giriya=crying, ikhtiyar=control)

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ki gubaar nahi hai
(abas=indifferent, gumaan=suspicion, ushshaq=lovers, gubaar=clouds of dust)

dil se utha lutf-e-jalva haaye maani
gair-e-gul aaina-e-bahar nahi hai
(gul=rose)

qatal ka mere kia hai ahad to baare
vaaye agar ahad ustavaar nahi hai
(ahad=promise, baare=at last, ustaavar=determined)

tune qasam mai-kashi ki khai hai Ghalib
teri qasam ka kuch aitbaar nahi hai

rafta rafta woh meri

One of the most popular ghazal of Mehdi Hasan. Its written by Tasleem Fazli.

rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
pehle jaan phir jaan-e-jaan fer jaan-e-jaana ho gaye

din-ba-din badti gai us husan ki raanaiyan
pehle gul fir gul-badan fir gul-badaama ho gaye
rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
(raanai=beauty)

aap to nazdik se nazdik-tar aate gaye
pehle dil fir dil-ruba fir dil ke mehmaan ho gaye
rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye

wohi palkon ka jhapkana

A wonderul ghazal by Ghulam Ali. I don’t know the name of the writer. If you know please leave a comment.

wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

tujh se main jism churata tha
magar ilam na tha
mera saaye se lipat jayenge
baazu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

teri aankhon mein pighalti rahi
soorat meri
meri tasveer pe girte rahe
aansu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

aur kuch der agar
tej hawa chalti rahi
meri baahon mein bikhar jayenge
gesu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere
(gesu=hair)

pyar ka pehla khat likhne mein

A wonderful ghazal by Jagjit Singh (Lyrics by Hasti)

pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai
naye parindo ko udne main waqt to lagta hai

jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha
lambi doori tai karne mein waqt to lagta hai

gaanth agar lag jaye to fir rishte ho ya dori
laakh karein koshish khulne mein waqt to lagta hai

hamne ilaaz-e-zakham-e-dil to dhoond liya lekin
gehre zakhmon ko bharne mein waqt to lagta hai

kya batayein k jaan gai kaise

Gulzar saab’s lyrics, sung by Jagjit Singh in Koi Baat Chale

kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise

kisne raste mein chaand rakha tha
mujh ko thokar wahan lagi kaise
kya batayein k jaan gai kaise

waqt pe paaon kab rakha hamne
zindagi moonh ke bal giri kaise
kya batayein k jaan gai kaise

aankh to bhar gai thi paani se
teri tasveer jal gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise