Tag: Urdu

ab tere mere beech zara faasla bhi ho

ab tere mere beech zara faasla bhi ho
hum log jab milein to koi doosra bhi ho

tu jaanta nahi meri chahat ajeeb hai
mujh ko mana raha hai kabhi khud khafa bhi ho

tu bewafa nahi hai magar bewafai kar
uski nazar mein rehne ka koi silsila bhi ho

patjhad ke toot-te hue patton ke saath-saath
mausam kabhi to badlega yeh aasra bhi ho

chupchaap usko baithe k dekhoon tamaam raat
jaaga hua bhi ho koi soya hua bhi ho

uske liye to maine yahan tak duayein ki
meri tarah se koi use chahta bhi ho

daag-e-dil humko yaad aane lage

Pakistan’s great ghazal singer Iqbal Bano passed away today in Lahore. May her soul rest in peace. Here is a small tribute to the great singer in the form of a wonderful ghazal sung by her. The poet is Baqi Siddiqui.

daag-e-dil humko yaad aane lage
log apne diye jalane lage

khud farebi si khud farebi hai
paas ke dhol b suhaane lage

ab to hota hai har qadam pe gumaan
hum yeh kaisa qadam uthane lage

ek pal mein wahan se hum uthe
baithne mein yahan zamane lage

Few more stanzas not sung by her in this mehfil (taken from here):

kuch na pakar bhi mutmain hain
ishq mein haath kya khazane lage
(mutmain=Appeased, Quiescent)

apni qismat se hai maqar kisko
teer par ka ke bhi nishaane lage

tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi

Wonderful poetry by Tabassum saab. Mehdi Hasan rendered this ghazal. Listen it here on pz10.

tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi
mere seene mein hai larzan teri avaaz abhi
(larzan=trembling)

us ne dekha hi nahi dard ka aagaaz abhi
ishq ko apni tamannaon pe hai naaz abhi

tujh ko manzil pe pahunchane ka hai daava ham-dam
mujh ko  anjaam nazar aata hai aagaaz abhi

kis qadar gosh-bar-avaaz hai khamoshi-e-shab
koi naala ke hai fariyaad ka dar-baaz koi
(gosh=ear, naala=loud cry, dar-baaz=open door)

mere chehre ki hansi rang-e-shikasta mera
tere ashkon mein ‘Tabassum’ ka hai andaaz abhi
(rang-e-shikasta=color of defeat)

silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate

Wonderful poetry by Faraz saab.

silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
warna itne to marasim the k aate jaate
(marasim=relations)

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jaate
(zulmat=darkness, shab=night)

kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana
fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate
(hizar=separation)

jashan-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
paabzoolan hi sahi naachte gaate jaate
(maqtal=place of killing, barpa=start, paab=feet, zoolan=chained)

uski woh jaane use paas-e-wafa tha k na tha
tum Faraz apni taraf se to nibhaate jaate
(paas-e-wafa=respect for love)

Here its, in Faraz saab’s own voice:

One more by Noor Jehan:

And the same done by Naseebo Lal in a live show:

aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein

aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein
zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein

jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale
jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein

kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah
khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein

woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh mere
fool patte teri yaadon mein bicha dein yaadein
(zood-faramosh=jaldi bhoolne wala)

jaise chahat bhi koi zurm ho aur zurm bhi woh
jiski padaash mein ta-umar saza dein yaadein
(padaash=zurm ki saza)

bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
warna insaan ko pagal na bana dein yaadein
(ne(h)mat=blessing)