Tag: Urdu

tumne bhi thukra hi diya hai

A beautiful qawali by Khan saab. I am not sure about the name of the writer. From the last stanza it seems that it was written by Mohsin Naqvi. If anyone can confirm/correct it, please post in the comments.

tumne bhi thukra hi diya hai
dunia se bhi door huye
apni ana ke saare sheeshe
aakhir chakna-choor huye
(ana – self, ego)

humne jin par ghazlein sochi
unko chaha logon ne
hum kitne badnaam huye the
woh kitne mashoor huye

tark-e-wafa ki saari kasmein
unko dekh ke toot gai
unka naaz salamat thehra
hum hi zara majboor huye
(tark-e-wafa – end of faithfulness, relationship, naaz – pride)

ek ghadi to ruk kar poocha
usne to ahwaal magar
baki umar na mud kar dekha
hum aise magroor huye
(ahwaal – condition)

ab ke unki bazm mein jane ka ‘Mohsin’ gar izn mile
zakham hi unki nazar guzaarein
ashq to na-manjoor huye
(bazm – mehfil, gahtering, izn – allowance, ashq – tears)

तुमने भी ठुकरा ही दिया है
दुनिया से भी दूर हुए
अपनी अना के सारे शीशे
आखिर चकना-चूर हुए

हमने जिन पर ग़ज़लें सोची
उनको चाहा लोगों ने
हम कितने बदनाम हुए थे
वो कितने मशहूर हुए

तर्क-इ-वफ़ा की सारी कसमें
उनको देख के टूट गई
उनका नाज़ सलामत ठहरा
हम ही ज़रा मजबूर हुए

एक घडी तो रुक कर पुछा
उसने तो अहवाल मगर
बाकी उम्र ना मुड कर देखा
हम ऐसे मगरूर हुए

अब के उनकी बज़्म में जाने का ‘मोहसिन’ गर इजन मिले
ज़ख्म ही उनकी नज़र गुजारें
अश्क तो ना-मंजूर हुए

zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha

Beautifully sung by Salma Agha. See in the end, Ahmed Faraz is in tears 🙂

zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha
(faqat=alone, zaib=ornament, hikayat=story, zaib-e-hikayat=existing only in story)

hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha

ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate
warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu tha
(dar-ba-dar=door to door)

yaar aghayaar ke haathon mein kamanein thi ‘Faraz’
aur sab dekh rahe the ke nishana tu tha
(aghayaar=enemy, kamaan=bow)

ज़िन्दगी यूँ थी कि जीने का बहाना तू था
हम फ़क़त जेबे-हिकायत थे फ़साना तू था

हमने जिस जिस को भी चाहा तेरे हिज्राँ में वोह लोग
आते जाते हुए मौसम थे ज़माना तू था

अबके कुछ दिल ही ना माना क पलट कर आते
वरना हम दरबदरों का तो ठिकाना तू था

यार अगियार कि हाथों में कमानें थी फ़राज़
और सब देख रहे थे कि निशाना तू था

Here is the video of Salma Agha singing

httpv://www.youtube.com/watch?v=iGDEEQo5BAw

Here is one with audio only but with better quality

httpv://www.youtube.com/watch?v=ywnilYArcHc

Ahmed Faraz himself reciting it

milne Mehdi Hasan se…

Gulzar saab’s poetry for Mehdi Hasan for Aman ki Asha.

aankhon ko visa nahi lagta
sapnon ki sarhad hoti nahi
band aakhon se roz main sarhad paar chala jaata hoon
milne Mehdi Hasan se
sunta hoon unki avaaz ko chot lagi hai
ab kehte hain
sookh gaye hain phool kitabon mein
yaar Faraz bhi bichad gaye hain
shayad milein woh khawabon mein
band aakhon se aksar sarhad paar chala jata hoon
milne Mehdi Hasan se…
aankhon ko visa nahi lagta
sapnon ki sarhad koi nahi…

nasib aajmaane ke din aa rahe hain

nasib aajmaane ke din aa rahe hain
karib unke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
sab unko sunane ke din aa rahe hain

abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
k lutne-lutaane ke din aa rahe hain

tapkane lagi un nigahon se masti
nigahein churane ke din aa rahe hain

sabaa fir hamein poochti fir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain
(sabaa=breeze)

chalo ‘Faiz’ fir se kahin dil lagayein
suna hai thikane ke din aa rahe hain

नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं
करीब उनके आने के दिन आ रहे हैं

जो दिल से कहा है, जो दिल से सुना है
सब उनको सुनाने के दिन आ रहे हैं

अभी से दिलो-जाँ सरे-राह रख दो
क लुटने-लुटाने के दिन आ रहे हैं

टपकने लगी उन निगाहों से मस्ती
निगाहें चुराने के दिन आ रहे हैं

सबा फिर हमें पूछती फिर रही है
चमन को सजाने के दिन आ रहे हैं

चलो ‘फैज़’ फिर से कहीं दिल लगायें
सुना है ठिकाने के दिन आ रहे हैं

jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla

A wonderful ghazal by Ayub Rumani and sung by Shaukat Ali. Masterpiece !

jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla
sehan-e-gul chod gaya dil mera pagal nikla

(sehra=desert, sehan=yard, gul=rose)

jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila
dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla

(oojhal=invisible)

ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla

woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the
itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla

hum sakoon dhoondne nikle the pareshaan rahe
shahar to shahar hai jungle bhi na jungle nikla

kaun “Ayub” pareshaan nahi tareeki mein
chand aflaak pe dil seene mein bekal nikla

(tariki=darkness, aflaak=sky, bekal=uneasy)

And this time i am writing in Hindi also. Sorry for any mistakes. Please point out 🙂

जब बहार आई तो सेहरा की तरफ चल निकला
सेहन-इ-गुल छोड़ गया दिल मेरा पागल निकला

जब उसे ढूँढने निकले तो निशान तक ना मिला
दिल में मौजूद रहा आँख से ओझल निकला

इक मुलाक़ात थी जो दिल को सदा याद रही
हम जिसे उम्र समझाते थे वोह इक पल निकला

वोह जो अफसाना-इ-गम सुन के हंसा करते थे
इतना रोये हैं क आँख क सब काजल निकला

हम सकून ढूडने निकले थे परेशान रहे
शहर तो शहर है जंगल भी ना जंगल निकला

कौन “अयूब” परेशान नहीं तारीकी में
चाँद अफ़लाक पे दिल सीने में बेकल निकला