A very nice song from Movie Anpadh sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are by Raja Mehdi Ali Khan.
hai isi mein pyar ki aabroo
woh jafa karein main wafa karoon
jo wafa bhi kaam na aa sake
to wohi kahein ke main kya karoon
(jafa=oppression, aabroo=honor)
mujhe gam bhi unka azeez hai
ke unhi di hui cheez hai
yehi gam hai ab meri zindagi
ise kaise dil se juda karoon
hai isi mein pyar ki aabroo
jo na ban sake main woh baat hoon
jo na khatam ho main woh raat hoon
yeh likha hai mere naseeb mein
yun hi shamma banke jala karoon
hai isi mein pyar ki aabroo
na kisi ke dil ki hoon aarzoo
na kisi nazar ki hoon justujoo
main woh phool hoon jo udas ho
na bahar aaye to kya karoon
hai isi mein pyar ki aabroo
है इसी में प्यार की आबरू
वोह जफा करें मैं वफ़ा करूं
जो वफ़ा भी काम न आ सके
तो वोही कहें के मैं क्या करूं
मुझे गम भी उनका अज़ीज़ है
के उन्ही दी हुई चीज़ है
यही गम है अब मेरी ज़िन्दगी
इसे कैसे दिल से जुदा करूं
है इसी में प्यार की आबरू
जो ना बन सके मैं वोह बात हूँ
जो ना ख़तम हो मैं वोह रात हूँ
यह लिखा है मेरे नसीब में
यूँ ही शम्मा बनके जला करूं
है इसी में प्यार की आबरू
ना किसी के दिल की हूँ आरजू
ना किसी नज़र की हूँ जुस्तुजू
मैं वोह फूल हूँ जो उदास हो
ना बहार आये तो क्या करूं
है इसी में प्यार की आबरू
Recent Comments