Category: Ahmed Faraz

us ka apna hi karishma hai

us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hain yun hain
(fusun – magic)

jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se
ek saya na darun hai na barun hai yun hai
(dar-e-dil – door of heart, sitaada – standing, darun – inner, barun – outer)

tum ne dekhi hi nahi dasht-e-wafa ki tasveer
nok-e-har-khar pe ik qatra-e-khoon hai yun hai
(dasht – desert, khar – thorn, qatra – drop)

tum muhabbat mein kahan sood-o-ziyan le aaye
ishq ka naam khird hai na junoon hai yun hai
(sood-o-ziyan – profit & loss, khird – intellect)

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to dariya mein talatum na sukoon hai yun hai
(talatum – dashing of waves)

naseha tujh ko khabar kya ki muhabbat kya hai
roz aa jata hai samjhaata hai yun hai yun hai
(naseha – preacher)

shayri taaza zamanon ki hai may’maar Faraz
ye bhi ik silsila-e-kun-fayakun hai yun hai
(may’maar – builder,architect, kun-fayakun – “be” & “it is”. Google for the detailed meaning )

nazar bujhi to karishmein bhi roz-o-shab ke gaye

nazar bujhi to karishmein bhi roz-o-shab ke gaye
ke ab talak nahin aaye hain log jab ke gaye
(roz-a day,daily, shab-night)

karega kaun teri bewafaion ka gila
yehi hai rasm-e-zamaana to hum bhi ab ke gaye
(rasm-custom)

girifta dil the magar haunsla na haara tha
girifta dil hain magar haunsle bhi ab ke gaye
(girifta-seized,smitten)

ab aaye ho to yahan kya hai dekhne ke liye
yeh shahar kab ka hai veraan wo log kab ke gaye

tum apni shama-e-tamanna ko ro rahe ho Faraz,
in aandhiyon mein to pyaare chiraag sab ke gaye
(shama-lamp,candle)

Another misra that Faraz saab didnt recite here (from here)

magar kisi ne hamein humsafar nahi jaana
ye aur baat ke hum saath saath sab ke gaye

(this poem starts at 19:05)

नज़र बुझी तो करिश्में भी रोजो शब् के गए
के अब तलक नहीं आये हैं लोग जब के गए

करेगा कौन तेरी बेवफाइयों का गिला
यही है रस्मे ज़माना तो हम भी अब के गए

गिरिफ्ता दिल थे मगर हौंसला न हारा था
गिरिफ्ता दिल हैं मगर हौंसले भी अब के गए

अब आये हो तो यहाँ क्या है देखने के लिए
ये शहर कब का है वीरान वो लोग कब के गए

तुम अपनी शमा-इ-तमन्ना को रो रहे हो फ़राज़
इन आँधियों में तो प्यारे चराग सब के गए

मगर किसी ने हमें हमसफ़र नहीं जाना
ये और बात के हम साथ साथ सब के गए

Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin

Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin
magar qaraar se din kat rahe ho yun bhi nahin

(sauda-madness, junoon-passion, qaraar-satisfaction,ease)

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fan bhi mila
magar jo dil pe guzarti hai kah sakoon bhi nahin

(lab-lips, dahan-mouth, guftagu-conversation,fan-skill)

meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho
jo tu kahe to tujhe umar bhar miloon bhi nahin

(luknat-stammering, badgumaan-suspicious)

Faraz jaise koi diya turbat-e-hava chaahe hai
tu paas aaye to mumkin hai main rahoon bhi nahin

(turbat-grave/tomb, mumkin-possible)

फ़राज़ अब कोई सौदा कोई जूनून भी नहीं
मगर करार से दिन कट रहे हों यूँ भी नहीं

लबो-दहन भी मिला गुफ्तगू का फन भी
मगर जो दिल पे गुज़रती है कह सकूं भी नहीं

मेरी जुबां की लुक्नत से बदगुमान न हो
जो तू कहे तो उम्र भर मिलूँ भी नहीं

फ़राज़ जैसे कोई दिया तुर्बत-इ-हवा चाहे है
तू पास आये तो मुमकिन है मैं रहूँ भी नहीं

dukh chhupaye huye hain hum dono

dukh chhupaye huye hain hum dono
zakhm khaye huye hain hum dono

aisa lagta hai fir zamane ko
yaad aaye huye hum dono

tu kabhi chaandni thi dhoop tha main
ab to saaye huye hain hum dono
(saya – shadow)

jaise ik doosre ko paa kar bhi
kuch ganwaye huye hain hum dono

jaise ik doosre se sharminda
sar jhukaye huye hain hum dono

jaise ik doosre ki chahat ko
ab bhulaye huye hain hum dono

ishq kaisa kahan ka ahad Faraz
ghar basaye huye hain hum dono
(ahad – promise)

दुःख छुपाये हुए हैं हम दोनों
ज़ख्म खाए हुए हैं हम दोनों

ऐसा लगता है फिर ज़माने को
याद हुए हैं हम दोनों

तू कभी चाँदनी थी धूप था मैं
अब तो साये हुए हैं हम दोनों

जैसे इक दुसरे को पा कर भी
कुछ गँवाए हुए हैं हम दोनों

जैसे इक दुसरे से शर्मिन्दा
सर झुकाए हुए हैं हम दोनों

जैसे इक दुसरे की चाहत को
अब भुलाये हुए हैं हम दोनों

इश्क कैसा कहाँ का अहद फ़राज़
घर बसाये हुए हैं हम दोनों

dukh fasana nahi ke tujh se kahein

dukh fasana nahi
ke tujh se kahein

aur dil bhi maana nahi
ke tujh se kahein

aj tak apni bekali ka sabbab
khud bhi jana nahi
ke tujh se kahein

(bekali – restlessness)

betarah haal-e-dil hai
aur tujh se dostana nahi
ke tujh se kahein

(betarah – unsteady)

ek tu harfaashna tha magar
ab zamana nahi
ke tujh se kahein

(harfaashna – ?)

aey khuda dard-e-dil hai bakshish-e-dost
aab-o-dana nai
ke tujh se kahein

(aab-o-daana – life)h

ab to apna bhi us gali mein Faraz
aana jaana nahi
ke tujh se kahein

One more stanza i read on a website that Faraz saab didn’t recite:

qasida hum faqeer logon ka
ek thikana nahi
ke tujh se kahein

(qasida – ?)

दुख फ़साना नहीं
के तुझ से कहें

और दिल भी माना नहीं
के तुझ से कहें

अज तक अपनी बेकली का सबब
खुद भी जाना नहीं
के तुझ से कहें
बेतरह हाले-दिल है
और तुझसे दोस्ताना नहीं
के तुझ से कहें

एक तू हर्फ़आशना था मगर
अब ज़माना नहीं
के तुझ से कहें

ऐ खुदा दर्दे-दिल है बक्शिशे-दोस्त
आबो-दाना नहीं
के तुझ से कहें

अब तो अपना भी उस गली में फ़राज़
आना जाना नहीं
के तुझ से कहें

कासिदा हम फकीर लोगों का
एक ठिकाना नहीं
के तुझ से कहें