us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hain yun hain
(fusun – magic)
jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se
ek saya na darun hai na barun hai yun hai
(dar-e-dil – door of heart, sitaada – standing, darun – inner, barun – outer)
tum ne dekhi hi nahi dasht-e-wafa ki tasveer
nok-e-har-khar pe ik qatra-e-khoon hai yun hai
(dasht – desert, khar – thorn, qatra – drop)
tum muhabbat mein kahan sood-o-ziyan le aaye
ishq ka naam khird hai na junoon hai yun hai
(sood-o-ziyan – profit & loss, khird – intellect)
ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to dariya mein talatum na sukoon hai yun hai
(talatum – dashing of waves)
naseha tujh ko khabar kya ki muhabbat kya hai
roz aa jata hai samjhaata hai yun hai yun hai
(naseha – preacher)
shayri taaza zamanon ki hai may’maar Faraz
ye bhi ik silsila-e-kun-fayakun hai yun hai
(may’maar – builder,architect, kun-fayakun – “be” & “it is”. Google for the detailed meaning )
Recent Comments