Wonderful poetry by Wasi Shah

dayaar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe gawa dete
(dayaar-e-gair=alien/unknown place, sada=voice, call)

tumhi ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua woh karte ke ham aasmaan hila dete

hamein yeh zom raha ab ke woh pukaarenge
unhein yeh zid thi k har baar ham sada dete
(zom=illusion)

woh tera gam tha k taseer mere lahje ki
ke jis ko haal sunaate use rula dete
(taseer=effect)

tumhein bhulana hi aval to dastaaras mein nahi
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
(aval=firstly, dastaaras=within reach, ikhtiyar=control)

tumhaari yaad ne koi jawab hi na diya
mere khiyal ke aansu rahe sada dete

samaaton ko main taa-umar kostaa Syed
woh kuch na kehte magar honth to hila dete
(samaaton=hearing power, taa-umar=life long, kosna=blame)