Awesome lyrics by Nasir Kazmi and given a life by Nusrat saab. My lifetime favourite.
gam hai ya khushi hai tu, meri zindagi hai tu
aafton ke daur mein, chaiyn ki ghadi hai tu
meri raat ka chiraag, meri neend bhi hai tu
main khizan ki shaam hun, rutt bahar ki hai tu
(khizan – autumn, decay)
doston ke darmiyaan, waj-he dosti hai tu
meri sari umar mein, ek hi kami hai tu
main to woh nahi raha, haan magar wohi hai tu
‘Nasir’ is dayaar mein, kitna ajnabi hai tu
(dayaar – place)
Following are 2 slightly different versions, from 2 different live mehfils (with better sound and video quality)
And here the same ghazal done by Rahat with Farrukh saab on harmonium
Recent Comments