By Sayed Ahmed Akhtar

kuch haqeeqat to hua karti thi afsaano mein
woh bhi baki nahi is daur ke insaano mein

waqt ka sell baha le gaya sab kuch warna
pyar ke dher lage the mere khilyaano mein
(sell = flood, khilyaano = gardens)

shaakh se katne ka gam unko bahut tha lekin
phool majboor the, haste rahe guldaano mein

unki pehchaan ki keemat to ada karni thi
jaanta hai koi apno mein na begano mein

sar hi ham forne jayein to kahan jeyenge
khokhle kaanch ke butt hai tere butt-khano mein
(butt-khana – temple)