muhabbaton mein dikhaave ki dosti na mila

Beauty of Bashir Badr saab’s poetry muhabbaton mein dikhaave ki dosti na mila agar gale nahi milta to haath bhi na mila gharon pe naam the naamon ke saath ohade the bahut talaash kiya koi aadmi na mila (uhde-(job) title) tamaam rishton ko main ghar pe chhod aya tha phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila bahut ajeeb hai yeh qurbaton ki doori bhi wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila (qurbatein-closeness) ...

April 29, 2012 at 10:10 PM · 1 min · 210 words · Amardeep Sidhu

kyo tu acha lagta hai

Some amazing poetry at the end of Attaullah Khan’s performance of pyar naal na sahi in Coke Studio season 4. kyo tu acha lagta hai waqt mila to sochenge tujh mein kya kya dekha hai waqt mila to sochenge saara shahar shanaasai ka daawedaar to hai lekin (shanaasai - Acquaintance) kaun hamara apna hai waqt mila to sochenge humne usko likha tha kuch milne ki tadbeer karo (Tadbir - plan, arrangement) usne likhkar bheja hai waqt mila to sochenge mausam, khusboo, baad-e-sabaa, chand, shafaq aur taaron mein (baad-e-sabaa - Morning Breeze, shafaq - rainbow) kaun tumaare jaisa hai waqt mila to sochenge ya to apne dil ki maano ya fir dunia walon ki mashwara uska acha hai (mashwara - advice) waqt mila to sochenge kyon tu acha lagta hai waqt mila to sochenge ...

February 26, 2012 at 11:25 PM · 2 min · 308 words · Amardeep Sidhu

beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega

A very simple and beautiful ghazal by Ghulam Ali. I don’t know the name of the writer. If you know please post in the comments. You can listen to it here. beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega (khala - space, distance, vacuum) aks beh jayenge saare dhoop ke sailaab mein aur koi paanion mein jhaankta reh jayega tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega (aks - image, reflection | sailaab - flood | jhaankta - looking) ...

January 3, 2012 at 10:23 PM · 3 min · 557 words · Amardeep Sidhu

dukh fasana nahi ke tujh se kahein

dukh fasana nahi ke tujh se kahein aur dil bhi maana nahi ke tujh se kahein aj tak apni bekali ka sabbab khud bhi jana nahi ke tujh se kahein (bekali - restlessness) betarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahi ke tujh se kahein (betarah - unsteady) ek tu harfaashna tha magar ab zamana nahi ke tujh se kahein (harfaashna - ?) aey khuda dard-e-dil hai bakshish-e-dost aab-o-dana nai ke tujh se kahein ...

September 10, 2011 at 11:12 PM · 2 min · 351 words · Amardeep Sidhu

dekha jo aaina to mujhe sochna pada

dekha jo aaina to mujhe sochna pada khud se na mil saka to mujhe sochna pada uska jo khat mila to mujhe sochna pada apna sa woh laga to mujhe sochna pada mujhko tha yeh gumaan ke mujhi mein hai ik ana dekhi teri ana to mujhe sochna pada (ana - ego, self) dunia samjh rahi thi ke naraz mujhse hai lekin woh jab mila to mujhe sochna pada ik din woh mere aib ginaane laga ‘Farag’ jab khud hi thak gaya to mujhe sochna pada ...

July 11, 2011 at 11:06 PM · 4 min · 699 words · Amardeep Sidhu

tumne bhi thukra hi diya hai

A beautiful qawali by Khan saab. I am not sure about the name of the writer. From the last stanza it seems that it was written by Mohsin Naqvi. If anyone can confirm/correct it, please post in the comments. tumne bhi thukra hi diya hai dunia se bhi door huye apni ana ke saare sheeshe aakhir chakna-choor huye (ana - self, ego) humne jin par ghazlein sochi unko chaha logon ne hum kitne badnaam huye the woh kitne mashoor huye ...

July 10, 2011 at 10:11 AM · 2 min · 283 words · Amardeep Sidhu

zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha

Beautifully sung by Salma Agha. See in the end, Ahmed Faraz is in tears :) zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha (faqat=alone, zaib=ornament, hikayat=story, zaib-e-hikayat=existing only in story) hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log aate jaate huye mausam the, zamana tu tha ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu tha (dar-ba-dar=door to door) ...

June 23, 2010 at 6:58 PM · 2 min · 276 words · Amardeep Sidhu

milne Mehdi Hasan se...

Gulzar saab’s poetry for Mehdi Hasan for Aman ki Asha. aankhon ko visa nahi lagta sapnon ki sarhad hoti nahi band aakhon se roz main sarhad paar chala jaata hoon milne Mehdi Hasan se sunta hoon unki avaaz ko chot lagi hai ab kehte hain sookh gaye hain phool kitabon mein yaar Faraz bhi bichad gaye hain shayad milein woh khawabon mein band aakhon se aksar sarhad paar chala jata hoon milne Mehdi Hasan se… aankhon ko visa nahi lagta sapnon ki sarhad koi nahi… ...

January 21, 2010 at 8:53 PM · 1 min · 85 words · Amardeep Sidhu

nasib aajmaane ke din aa rahe hain

nasib aajmaane ke din aa rahe hain karib unke aane ke din aa rahe hain jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai sab unko sunane ke din aa rahe hain abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do k lutne-lutaane ke din aa rahe hain tapkane lagi un nigahon se masti nigahein churane ke din aa rahe hain sabaa fir hamein poochti fir rahi hai chaman ko sajaane ke din aa rahe hain (sabaa=breeze) ...

July 14, 2009 at 8:18 PM · 2 min · 269 words · Amardeep Sidhu

jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla

A wonderful ghazal by Ayub Rumani and sung by Shaukat Ali. Masterpiece ! jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla sehan-e- gul chod gaya dil mera pagal nikla (sehra=desert, sehan=yard, gul=rose) jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla (oojhal=invisible) ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla ...

May 4, 2009 at 10:24 PM · 3 min · 431 words · Amardeep Sidhu