us ka apna hi karishma hai

us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hain yun hain (fusun - magic) jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saya na darun hai na barun hai yun hai (dar-e-dil - door of heart, sitaada - standing, darun - inner, barun - outer) tum ne dekhi hi nahi dasht-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khar pe ik qatra-e-khoon hai yun hai (dasht - desert, khar - thorn, qatra - drop) ...

December 9, 2017 at 7:48 PM · 1 min · 179 words · Amardeep Sidhu

nazar bujhi to karishmein bhi roz-o-shab ke gaye

nazar bujhi to karishmein bhi roz-o-shab ke gaye ke ab talak nahin aaye hain log jab ke gaye (roz-a day,daily, shab-night) karega kaun teri bewafaion ka gila yehi hai rasm-e-zamaana to hum bhi ab ke gaye (rasm-custom) girifta dil the magar haunsla na haara tha girifta dil hain magar haunsle bhi ab ke gaye (girifta-seized,smitten) ab aaye ho to yahan kya hai dekhne ke liye yeh shahar kab ka hai veraan wo log kab ke gaye ...

August 27, 2012 at 8:25 PM · 2 min · 233 words · Amardeep Sidhu

Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin

Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin magar qaraar se din kat rahe ho yun bhi nahin (sauda-madness, junoon-passion, qaraar-satisfaction,ease) lab-o- dahan bhi mila guftagu ka fan bhi mila magar jo dil pe guzarti hai kah sakoon bhi nahin (lab-lips, dahan-mouth, guftagu-conversation,fan-skill) meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho jo tu kahe to tujhe umar bhar miloon bhi nahin (luknat-stammering, badgumaan-suspicious) Faraz jaise koi diya turbat-e-hava chaahe hai tu paas aaye to mumkin hai main rahoon bhi nahin ...

July 28, 2012 at 8:04 PM · 1 min · 151 words · Amardeep Sidhu

dukh chhupaye huye hain hum dono

dukh chhupaye huye hain hum dono zakhm khaye huye hain hum dono aisa lagta hai fir zamane ko yaad aaye huye hum dono tu kabhi chaandni thi dhoop tha main ab to saaye huye hain hum dono (saya - shadow) jaise ik doosre ko paa kar bhi kuch ganwaye huye hain hum dono jaise ik doosre se sharminda sar jhukaye huye hain hum dono jaise ik doosre ki chahat ko ab bhulaye huye hain hum dono ...

June 2, 2012 at 10:15 PM · 1 min · 186 words · Amardeep Sidhu

dukh fasana nahi ke tujh se kahein

dukh fasana nahi ke tujh se kahein aur dil bhi maana nahi ke tujh se kahein aj tak apni bekali ka sabbab khud bhi jana nahi ke tujh se kahein (bekali - restlessness) betarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahi ke tujh se kahein (betarah - unsteady) ek tu harfaashna tha magar ab zamana nahi ke tujh se kahein (harfaashna - ?) aey khuda dard-e-dil hai bakshish-e-dost aab-o-dana nai ke tujh se kahein ...

September 10, 2011 at 11:12 PM · 2 min · 351 words · Amardeep Sidhu

zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha

Beautifully sung by Salma Agha. See in the end, Ahmed Faraz is in tears :) zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha (faqat=alone, zaib=ornament, hikayat=story, zaib-e-hikayat=existing only in story) hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log aate jaate huye mausam the, zamana tu tha ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu tha (dar-ba-dar=door to door) ...

June 23, 2010 at 6:58 PM · 2 min · 276 words · Amardeep Sidhu

silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate

Wonderful poetry by Faraz saab. silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate warna itne to marasim the k aate jaate (marasim=relations) shikwa-e- zulmat-e- shab se to kahin behtar tha apne hisse ki koi shama jalate jaate (zulmat=darkness, shab=night) kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate (hizar=separation) jashan-e- maqtal hi na barpa hua warna hum bhi paab- zoolan hi sahi naachte gaate jaate (maqtal=place of killing, barpa=start, paab=feet, zoolan=chained) ...

March 8, 2009 at 12:04 AM · 2 min · 348 words · Amardeep Sidhu

aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein

aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh mere fool patte teri yaadon mein bicha dein yaadein (zood-faramosh=jaldi bhoolne wala) jaise chahat bhi koi zurm ho aur zurm bhi woh jiski padaash mein ta-umar saza dein yaadein (padaash=zurm ki saza) ...

March 1, 2009 at 7:11 PM · 1 min · 205 words · Amardeep Sidhu

iska socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri

Ahmed Faraz iska socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri woh kyamat hi ganimat thi jo yakja guzri (ganimat=blessing, yakja=together) aa gale tujh ko laga loon mere pyare dushman ik meri baat nahi tujh pe bhi kya-kya guzri main to sehra k tapish, tishna-labi bhool gaya jo mere ham-nafson par lab-e-dariya guzri (tapish=warmth, heat, tishna-labi=thrist, ham-nafson=friends, lab=bank, kinara) aaj kya dekh ke bhar aai hain teri aakhein hum pe eh dost yeh saat to hamesha guzri ...

December 27, 2008 at 12:07 PM · 1 min · 113 words · Amardeep Sidhu

aashiqi bedili se mushkil hai

Ahmed Faraz aashiqi bedili se mushkil hai phir mohabbat usi se mushkil hai ishq aagaaz hi se mushkil hai sabar karna abhi se mushkil hai ham tan-aasan hain aur hamare liye dushmani, dosti se mushkil hai (tan-aasan=lazy, kahil) jisko sab bewafa samjhte hon bewafai usi se mushkil hai ek ko doosre se sahel na jaan har koi har kisi se mushkil hai (sahel=approachable) tu ba-zid hai to ja Faraz magar wapisi us gali se mushkil hai ...

December 25, 2008 at 4:42 PM · 1 min · 76 words · Amardeep Sidhu