Magical !

kabhi aah lab pe machal gai
kabhi ashq aankh se dhal gaye
ye tumaare gham ke charaag hain
kabhi bujh gaye kabhi jal gaye

(lab-lips, charaag-lamp)

main khiyal-o-khwab kii mehfilein
na baqadr-e-shauq sajaa saka
teri ik nazar ke saath hi
mere sab iraade badal gaye

(baqadr-worthwhile, irada-desire,intention)

kabhi rang mein kabhi roop mein
kabhi chhaaon mein kabhi dhoop mein
kahin aaftaab-e-nazar hain wo
kahin mahataab mein dhal gaye

(aaftab-sun, mahataab-moon)

jo fana’h huye gham-e-ishq mein
unhe zindagi ka na gham huya
jo na apni aag mein jal sake
wo parai aag mein jal gaye

(fana’h-destroyed)

tha unhe bhi meri tara junoon
to phir un mein mujh mein ye farq kyon
main giraft-e-gham se na bach saka
wo hudood-e-gham se nikal gaye
(giraft-imprisoned, hudood-boundaries)

कभी आह लब पे मचल गई
कभी अश्क आँख  से ढल गए
ये तुमारे ग़म के चराग हैं
कभी बुझ गए कभी जल गए

मैं खयाल ओ खाब की महफिलें
न बक़द्र इ शौक़ सजा सका
तेरी इक नज़र के साथ ही
मेरे सब इरादे बदल गए

कभी रंग में कभी रूप में
कभी छाओं में कभी धुप में
कहीं आफ़ताब इ नज़र हैं वो
कहीं महताब में ढल गए

जो फना हुए ग़म इ इश्क में
उने ज़िन्दगी का न ग़म हुआ
जो न अपनी आग में जल सके
वो पराई आग में जल गए

था उने भी मेरी तरा जूनून
तो फिर उन में मुझ में ये फर्क क्यों
मैं गिरफ्त इ ग़म से न बाख सका
वो हुदूद इ ग़म से निकल गए