Tag: Ghulam Ali

wohi palkon ka jhapkana

A wonderul ghazal by Ghulam Ali. I don’t know the name of the writer. If you know please leave a comment.

wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

tujh se main jism churata tha
magar ilam na tha
mera saaye se lipat jayenge
baazu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

teri aankhon mein pighalti rahi
soorat meri
meri tasveer pe girte rahe
aansu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

aur kuch der agar
tej hawa chalti rahi
meri baahon mein bikhar jayenge
gesu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere
(gesu=hair)

mere shauq da nahi aitbaar tainu…

A beauty by Ghulam Ali. First a little bit about history of this ghazal. It was originally written by Mirza Ghalib in Persian. Sufi Ghulam Mustafa Tabassum translated it to Punjabi and then Ghulam Ali added to the beauty by rendering it with perfection. Enjoy the masterpiece from the legends:

mere shauq da nahi aitbaar tainu
aaja vekh mera intezaar a ja
avein laran bahanane labhna en
ki tu sochna en sitamgaar a ja
mere shauq da nahi aitbaar tainu…
(sitamgaar – oppressor)

bhavein hizar te bhavein visaal hove
wakho wakh dohan diyan lazztan ne
mere sohnia ja hazaar wari
aaja pyaria te lakh waar a ja…
(hizar – seperation, visaal – union,meeting)

eh rivaaz e masjidan mandiran da
uthe hastiyan te khud-parastiyan ne
mai-khaane wich mastiyan hi mastiyan ne
hosh kar banke hoshiyaar a ja…

tu sada te tera dil sada
tainu avein raqeeb qurah paya
je tu mere janaaze te nahi aya
raah takdae teri mazaar a ja…

sukhi wasna je tu chauna e
mere ‘Ghaliba’ es jahaan andar
aaja rindan di bazm wich a beh ja
ethe baithde ne khaaksaar a ja…
(rind – one who likes to drink, bazm – mehfil, khaaksaar – low)

mere shauq da nahi aitbaar tainu
aaja vekh mera intezaar a ja
avein laran bahanane labhna en
ki tu sochna en sitamgaar a ja
mere shauq da nahi aitbaar tainu…

mehfil mein baar baar…

Another gem of Ghulam Ali and my favourite. Its written by Aaga Bismil. The audio you can listen here and I am embedding the video also. The ones in blue are there in live version only.

teri baat hi sunaane aaye
dost bhi dil hi dukhaane aaye
phool khilte hain
to hum sochte hain
tere aane k zamane aaye

chand kaliyan nishaat ki chun kar
muddaton mehv-e-yaas rehta hoon
tera milna khushi ki baat sahi
tujse mil kar udas rehta hon

(nishaat – joy, mehv – khwaab, yaas – disappointment)

nazar nazar se milao
bahar ke din hain
gamon bhai bhool jao
bahar ke din hain

shayad mujhe nikaal ke pachta rahe ho aap
mehfil mein is khiyal se fir a gaya hoon main

mehfil mein baar baar kisi par nazar gai
humne bachai laakh
magar phir udhar gai
mehfil mein baar baar kisi par nazar gai…

unki nazar to koi to jaadu jaroor hai
jis par padi
usi ke jigar tak utar gai…

us bewafa ki aankh se aansu jhalak pade
hasrat bhari nigah
bada kaam kar gai…

(hasrat – desire)

unke jamaal-e-rukh pe unhi ka jamaal tha
woh chal diye
to raunak-e-shaamo sahar gai…

(jamaal-e-rukh – glowing face, roshan chehra)

unko khabar karo ke hai “Bismil” kareeb-e-marg
woh aayange jaroor
jo un tak khabar gai…

(kareeb-e-marg – near death)

chupke chupke raat din…

One of my favourite ghazals of Ghulam Ali. The sweetness of love translated into beauty of lyrics. Its written by Hasrat Mohni then sung by Ghulam Ali. Asha Bhosle also sung it in one of her albums [That album was probably a tribute to popular ghazals of the old time] The live version by Ghulam Ali can be listened to, here.

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

khench lena woh mera parde ka kona daffatan
aur dupatte se tera moonh chupana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

(daffatan-suddenly)

berukhi ke saath sun-na dard-e-dil ki dastaan
woh kalai mein tera kangan ghumana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

waqt-e-rukhsat alwida ka lavz kehne ke liye
woh tere sookhe labon ka thar-tharana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

a gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikar-e-firaaq
woh tera ro ro ke bhi mujh ko rulana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

dopeher ki dhoop mein mere bulaane ke liye
woh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

tujhse milte hi woh kuch bebaak ho jana mera
aur tera daaton mein woh ungali dabana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

chori chori hum se tum aakar mile the jis jagah
muddatein guzri par ab tak woh thikana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

tujhko jab tanha kabhi pana to az raah-e-lihaaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein batana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

ba-hazaaran iztiraabo sad-hazaaran ishitiaaq
tujhe woh pehle pehal dil ka lagana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka woh zamana yaad hai

(iztiraab – restlessness,perturbation, ishitiaaq – craving, ba – ? , sad – hundered)

hamein to ab bhi woh…

This one is by Ghulam Ali. It was in the album Tere Shahar Mein. It was one of the first albums of Ghulam Ali to be released in India. Its available online on musicindiaonline and can be listened to, here

hamein to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai
tumhe bhi kya kabi koi dewana yaad aata hai…

hawaein tej thi, baarish bhi thi, tufan bhi tha lekin
tera aise main bhi waada nibhana yaad aata hai

guzar chuki thi bahut raat baaton-baaton main
fir uth k woh tera shama bujhana yaad aata hai

ghatayein kitni hi dekhi hain par mujhe ‘israr’
kisi ka rukh pe woh zulfein girana yaad ata hai