muhabbaton mein dikhaave ki dosti na mila

Beauty of Bashir Badr saab’s poetry

muhabbaton mein dikhaave ki dosti na mila
agar gale nahi milta to haath bhi na mila

gharon pe naam the naamon ke saath ohade the
bahut talaash kiya koi aadmi na mila
(uhde-(job) title)

tamaam rishton ko main ghar pe chhod aya tha
phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila

bahut ajeeb hai yeh qurbaton ki doori bhi
wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila
(qurbatein-closeness)

khuda ki itni badi qaynaat mein maine
bas ek shaks ko maanga mujhe wo hi na mila

 

मुहबतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला

तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उसके बाद मुझे कोई अजनबी न मिला

खुदा की इतनी बड़ी कायनात में मैंने
बस एक शख्स को माँगा मुझे वही न मिला

बहुत अजीब है ये कुरबतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला

And here is a rendition by Jagjit Singh

httpv://www.youtube.com/watch?v=oECbJYXtMEs

2 Comments

  1. No words baai ji…….mainu ajj bahut kuchh de ditta tuccc…..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *