A very nice song from Movie Anpadh sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are by Raja Mehdi Ali Khan.

hai isi mein pyar ki aabroo woh jafa karein main wafa karoon jo wafa bhi kaam na aa sake to wohi kahein ke main kya karoon

(jafa=oppression, aabroo=honor)

mujhe gam bhi unka azeez hai ke unhi di hui cheez hai yehi gam hai ab meri zindagi ise kaise dil se juda karoon hai isi mein pyar ki aabroo

jo na ban sake main woh baat hoon jo na khatam ho main woh raat hoon yeh likha hai mere naseeb mein yun hi shamma banke jala karoon hai isi mein pyar ki aabroo

na kisi ke dil ki hoon aarzoo na kisi nazar ki hoon justujoo main woh phool hoon jo udas ho na bahar aaye to kya karoon hai isi mein pyar ki aabroo

है इसी में प्यार की आबरू वोह जफा करें मैं वफ़ा करूं जो वफ़ा भी काम न आ सके तो वोही कहें के मैं क्या करूं

मुझे गम भी उनका अज़ीज़ है के उन्ही दी हुई चीज़ है यही गम है अब मेरी ज़िन्दगी इसे कैसे दिल से जुदा करूं है इसी में प्यार की आबरू

जो ना बन सके मैं वोह बात हूँ जो ना ख़तम हो मैं वोह रात हूँ यह लिखा है मेरे नसीब में यूँ ही शम्मा बनके जला करूं है इसी में प्यार की आबरू

ना किसी के दिल की हूँ आरजू ना किसी नज़र की हूँ जुस्तुजू मैं वोह फूल हूँ जो उदास हो ना बहार आये तो क्या करूं है इसी में प्यार की आबरू

Comments

Comment by rollercoaster on 2009-07-08 19:39:51 +0530

wah wah!