aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein
jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein
kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein
woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh mere fool patte teri yaadon mein bicha dein yaadein (zood-faramosh=jaldi bhoolne wala)
jaise chahat bhi koi zurm ho aur zurm bhi woh jiski padaash mein ta-umar saza dein yaadein (padaash=zurm ki saza)
bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz warna insaan ko pagal na bana dein yaadein (ne(h)mat=blessing)
Comments
Comment by Bal on 2009-03-03 01:17:56 +0530
Baba ji bohat hee kaim… kmaal likhya hai Faraz saab ne…
Par word ‘jood-faramosh’ nahi hai… it’s ‘zood-faramosh’
Comment by Sidhu on 2009-03-03 07:54:27 +0530
Thanks ! I corrected it.
Comment by Kanchandeep on 2009-04-04 00:20:07 +0530
“bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
warna insaan ko pagal na bana dein yaadein” bahut Khoooob……
Comment by Download Mp3 on 2010-12-24 22:18:26 +0530
wah nice poetry really heart touching!
Comment by Shankari on 2011-03-21 13:07:24 +0530
Lovely lovely words. Thank you for sharing this. Has anyone sung this ghazal?