Beauty of Mirza Ghalib
aa k meri jaan mein qaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
(bedaad=injustice)
dete hain jannat hayaat-e-dahar k badle
nasha ba-andaaza-e-khumar nahi hai
(hayat=life, dahar=world)
giriya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye k rone pe ikhtiyar nahi hai
(giriya=crying, ikhtiyar=control)
ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ki gubaar nahi hai
(abas=indifferent, gumaan=suspicion, ushshaq=lovers, gubaar=clouds of dust)
dil se utha lutf-e-jalva haaye maani
gair-e-gul aaina-e-bahar nahi hai
(gul=rose)
qatal ka mere kia hai ahad to baare
vaaye agar ahad ustavaar nahi hai
(ahad=promise, baare=at last, ustaavar=determined)
tune qasam mai-kashi ki khai hai Ghalib
teri qasam ka kuch aitbaar nahi hai
February 14, 2009 at 4:58 pm
Speechless!
Aman….