A wonderful ghazal by Parveen Shakir

Update: Just found 2 videos on youtube. One is of Nusrat saab rendering this beautiful composition and another one from a mehfil where Parveen Shakir herself recites this. Embedding both the videos here.

kuch to hava bhi sard thi kuch tha tera khiyal bhi
dil ko khushi ke saath hota raha malaal bhi

[malaal=sorrow]

baat woh aadhi raat ki raat woh pure chaand ki
chaand bhi ain chet ka us pe tera jamaal bhi

[chet=name of a month, jamaal=beauty]

sab se nazar bacha ke woh mujh ko aisa dekhte
ek dafa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhi

dil to chamak sakega kya phir bhi taraash ke dekh lo
sheeshagaran-e-shahar ke hath ka yeh kamaal bhi

[taraash=chisel/polish (stone), sheeshagar=glazier/one works with glass]

us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhaal bhi

[muhaal=difficult/impossible]

meri talab tha ik shaksh woh jo nahi mila to phir
haath dua se yun gira bhool gaya sawaal bhi

shaam ki nasamjh hava puuch rahi hai ik pata
mauj-e-hava-e-kuu-e-yaar kuch to mera khiyaal bhi

us ke hi baazuon mein aur us ko hi sochte rahe
jism ki khvahishon pe the rooh ke aur jaal bhi