dayaar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

Wonderful poetry by Wasi Shah

dayaar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe gawa dete
(dayaar-e-gair=alien/unknown place, sada=voice, call)

tumhi ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua woh karte ke ham aasmaan hila dete

hamein yeh zom raha ab ke woh pukaarenge
unhein yeh zid thi k har baar ham sada dete
(zom=illusion)

woh tera gam tha k taseer mere lahje ki
ke jis ko haal sunaate use rula dete
(taseer=effect)

tumhein bhulana hi aval to dastaaras mein nahi
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
(aval=firstly, dastaaras=within reach, ikhtiyar=control)

tumhaari yaad ne koi jawab hi na diya
mere khiyal ke aansu rahe sada dete

samaaton ko main taa-umar kostaa Syed
woh kuch na kehte magar honth to hila dete
(samaaton=hearing power, taa-umar=life long, kosna=blame)

5 Comments

  1. Nice collection, love it!!!

  2. Thanks Rajni

    Keep coming and commenting 🙂

  3. 22 eh ghazal kmaal di hai… Beautiful !!

    “tumhein bhulana hi aval to dastaaras mein nahi
    jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete”

    Wah Wah

  4. wasi shah is one of my favrt poet really nice ghazal…

  5. amazing, i love it wow.

    thanx for sharing such a nice shayari.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *