meri likhi kavita...

Sent by one of my friend. An amazing poem by Surjit Patar saab. ਮੇਰੀ ਮਾਂ ਨੂੰ ਮੇਰੀ ਲਿਖੀ ਕਵਿਤਾ ਸਮਝ ਨਾ ਆਈ ਭਾਵੇਂ ਮੇਰੀ ਮਾਂ ਬੋਲੀ ਚ ਲਿਖੀ ਹੋਈ ਸੀ ਓਹ ਤਾਂ ਬਸ ਏਨਾ ਸਮਝੀ ਪੁੱਤ ਦੀ ਰੂਹ ਨੂੰ ਦੁਖ ਹੈ ਕੋਈ ਪਰ ਇਸਦਾ ਦੁਖ ਮੇਰੇ ਹੁੰਦਿਆਂ ਆਇਆ ਕਿਥੋਂ ? ਨੀਝ ਲਾ ਕੇ ਦੇਖੀ ਮੇਰੀ ਅਨਪੜ ਮਾਂ ਨੇ ਮੇਰੀ ਕਵਿਤਾ ਦੇਖੋ ਲੋਕੋ ਕੁਖੋਂ ਜਾਏ ਮਾਂ ਨੂੰ ਛੱਡ ਕੇ ਦੁਖ ਕਾਗਤਾਂ ਨੂੰ ਦਸਦੇ ਨੇ ...

February 21, 2010 at 12:46 PM · 2 min · 400 words · Amardeep Sidhu

eh tere pyar de pattar

A wonderful ghazal sung by Jagjit Singh Zirvi. eh tere pyar de pattar main awein saambh rakhe ne eh tere pyar de pattar jo hun tak saambh rakhe ne na hun eh tumbde mainu na hai ehna ch nigh koi kadi veraan chup raatan ch je kar khol v behna na dil tadpaun hun mera te na hi karan diljoi eh tere pyar de pattar main awein saambh rakhe ne mohabbat v shalaga v hallasheri v ehna wich ate tokan nahore v gile v te dilase v eh apne aap wich dunia c aasha te niraasha di eh madra de pyale san eh san vikhia de kaase v eh tere pyar de pattar main awein saambh rakhe ne ...

February 4, 2010 at 8:57 PM · 2 min · 261 words · Amardeep Sidhu

milne Mehdi Hasan se...

Gulzar saab’s poetry for Mehdi Hasan for Aman ki Asha. aankhon ko visa nahi lagta sapnon ki sarhad hoti nahi band aakhon se roz main sarhad paar chala jaata hoon milne Mehdi Hasan se sunta hoon unki avaaz ko chot lagi hai ab kehte hain sookh gaye hain phool kitabon mein yaar Faraz bhi bichad gaye hain shayad milein woh khawabon mein band aakhon se aksar sarhad paar chala jata hoon milne Mehdi Hasan se… aankhon ko visa nahi lagta sapnon ki sarhad koi nahi… ...

January 21, 2010 at 8:53 PM · 1 min · 85 words · Amardeep Sidhu

nasib aajmaane ke din aa rahe hain

nasib aajmaane ke din aa rahe hain karib unke aane ke din aa rahe hain jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai sab unko sunane ke din aa rahe hain abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do k lutne-lutaane ke din aa rahe hain tapkane lagi un nigahon se masti nigahein churane ke din aa rahe hain sabaa fir hamein poochti fir rahi hai chaman ko sajaane ke din aa rahe hain (sabaa=breeze) ...

July 14, 2009 at 8:18 PM · 2 min · 269 words · Amardeep Sidhu

hai isi mein pyar ki aabroo

A very nice song from Movie Anpadh sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are by Raja Mehdi Ali Khan. hai isi mein pyar ki aabroo woh jafa karein main wafa karoon jo wafa bhi kaam na aa sake to wohi kahein ke main kya karoon (jafa=oppression, aabroo=honor) mujhe gam bhi unka azeez hai ke unhi di hui cheez hai yehi gam hai ab meri zindagi ise kaise dil se juda karoon hai isi mein pyar ki aabroo ...

June 24, 2009 at 9:57 PM · 2 min · 274 words · Amardeep Sidhu

jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla

A wonderful ghazal by Ayub Rumani and sung by Shaukat Ali. Masterpiece ! jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla sehan-e- gul chod gaya dil mera pagal nikla (sehra=desert, sehan=yard, gul=rose) jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla (oojhal=invisible) ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla ...

May 4, 2009 at 10:24 PM · 3 min · 431 words · Amardeep Sidhu

ab tere mere beech zara faasla bhi ho

ab tere mere beech zara faasla bhi ho hum log jab milein to koi doosra bhi ho tu jaanta nahi meri chahat ajeeb hai mujh ko mana raha hai kabhi khud khafa bhi ho tu bewafa nahi hai magar bewafai kar uski nazar mein rehne ka koi silsila bhi ho patjhad ke toot-te hue patton ke saath-saath mausam kabhi to badlega yeh aasra bhi ho chupchaap usko baithe k dekhoon tamaam raat jaaga hua bhi ho koi soya hua bhi ho ...

April 26, 2009 at 5:30 PM · 3 min · 489 words · Amardeep Sidhu

daag-e-dil humko yaad aane lage

Pakistan’s great ghazal singer Iqbal Bano passed away today in Lahore. May her soul rest in peace. Here is a small tribute to the great singer in the form of a wonderful ghazal sung by her. The poet is Baqi Siddiqui. daag-e-dil humko yaad aane lage log apne diye jalane lage khud farebi si khud farebi hai paas ke dhol b suhaane lage ab to hota hai har qadam pe gumaan hum yeh kaisa qadam uthane lage ...

April 21, 2009 at 10:14 PM · 3 min · 431 words · Amardeep Sidhu

tu mud mud mohabbat da izhaar na kar

tu mud mud mohabbat da izhaar na kar asin tan dewaane haan, tu pyar na kar tu devenga shaavan oh todange patte k rahian te bahuta v itbaar na kar asin tainu audan ch hanjuan na(al) sinjia tu sanu tan shaavan ton inkaar na kar oh dinda hai mainu hyati de supne te kehnda hai saahan te itbaar na kar khizawan ch karda e shaavan de waade gareeban na(al) haase mere yaar na kar (khiza=autumn, patjhad) ...

April 2, 2009 at 11:24 PM · 2 min · 269 words · Amardeep Sidhu

tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi

Wonderful poetry by Tabassum saab. Mehdi Hasan rendered this ghazal. Listen it here on pz10. tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi mere seene mein hai larzan teri avaaz abhi (larzan=trembling) us ne dekha hi nahi dard ka aagaaz abhi ishq ko apni tamannaon pe hai naaz abhi tujh ko manzil pe pahunchane ka hai daava ham-dam mujh ko anjaam nazar aata hai aagaaz abhi kis qadar gosh-bar-avaaz hai khamoshi-e-shab koi naala ke hai fariyaad ka dar-baaz koi (gosh=ear, naala=loud cry, dar-baaz=open door) ...

March 14, 2009 at 12:13 PM · 1 min · 145 words · Amardeep Sidhu