nazar bujhi to karishmein bhi roz-o-shab ke gaye ke ab talak nahin aaye hain log jab ke gaye (roz-a day,daily, shab-night) karega kaun teri bewafaion ka gila yehi hai rasm-e-zamaana to hum bhi ab ke gaye (rasm-custom) girifta dil the magar haunsla na haara tha girifta dil hain magar haunsle bhi ab ke gaye (girifta-seized,smitten) [...]
Tag Archive > Ahmed Faraz
Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin
Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin magar qaraar se din kat rahe ho yun bhi nahin (sauda-madness, junoon-passion, qaraar-satisfaction,ease) lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fan bhi mila magar jo dil pe guzarti hai kah sakoon bhi nahin (lab-lips, dahan-mouth, guftagu-conversation,fan-skill) meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho jo tu kahe to tujhe [...]
dukh chhupaye huye hain hum dono
dukh chhupaye huye hain hum dono zakhm khaye huye hain hum dono aisa lagta hai fir zamane ko yaad aaye huye hum dono tu kabhi chaandni thi dhoop tha main ab to saaye huye hain hum dono (saya – shadow) jaise ik doosre ko paa kar bhi kuch ganwaye huye hain hum dono jaise ik [...]
dukh fasana nahi ke tujh se kahein
dukh fasana nahi ke tujh se kahein aur dil bhi maana nahi ke tujh se kahein aj tak apni bekali ka sabbab khud bhi jana nahi ke tujh se kahein (bekali – restlessness) betarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahi ke tujh se kahein (betarah – unsteady) ek tu harfaashna tha magar ab zamana [...]
zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
Beautifully sung by Salma Agha. See in the end, Ahmed Faraz is in tears zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha (faqat=alone, zaib=ornament, hikayat=story, zaib-e-hikayat=existing only in story) hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log aate jaate huye mausam the, zamana [...]
silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
Wonderful poetry by Faraz saab. silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate warna itne to marasim the k aate jaate (marasim=relations) shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha apne hisse ki koi shama jalate jaate (zulmat=darkness, shab=night) kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate (hizar=separation) jashan-e-maqtal [...]
aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein
aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh [...]
iska socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri
Ahmed Faraz iska socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri woh kyamat hi ganimat thi jo yakja guzri (ganimat=blessing, yakja=together) aa gale tujh ko laga loon mere pyare dushman ik meri baat nahi tujh pe bhi kya-kya guzri main to sehra k tapish, tishna-labi bhool gaya jo mere ham-nafson par lab-e-dariya guzri (tapish=warmth, [...]
aashiqi bedili se mushkil hai
Ahmed Faraz aashiqi bedili se mushkil hai phir mohabbat usi se mushkil hai ishq aagaaz hi se mushkil hai sabar karna abhi se mushkil hai ham tan-aasan hain aur hamare liye dushmani, dosti se mushkil hai (tan-aasan=lazy, kahil) jisko sab bewafa samjhte hon bewafai usi se mushkil hai ek ko doosre se sahel na jaan [...]
woh tafawutein hain mere khuda…
Ahmed Faraz woh tafawutein hain mere khuda k yeh tu nahi koi aur hai k tu aasman pe, ho to ho, pai sar-e-zameen koi aur hai (tafawutein – doori,distance) woh jo raaste the wafa ke the,yeh jo manzalein hain, saza ki hain mera hamsafar koi aur tha, tera hamnashin koi aur hai (hamnashin – associate) [...]
