Gulzar saab’s poetry for Mehdi Hasan for Aman ki Asha.
aankhon ko visa nahi lagta
sapnon ki sarhad hoti nahi
band aakhon se roz main sarhad paar chala jaata hoon
milne Mehdi Hasan se
sunta hoon unki avaaz ko chot lagi hai
ab kehte hain
sookh gaye hain phool kitabon mein
yaar Faraz bhi bichad gaye hain
shayad milein woh khawabon mein
band aakhon se aksar sarhad paar chala jata hoon
milne Mehdi Hasan se…
aankhon ko visa nahi lagta
sapnon ki sarhad koi nahi…
A very nice song from Movie Anpadh sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are by Raja Mehdi Ali Khan.
hai isi mein pyar ki aabroo
woh jafa karein main wafa karoon
jo wafa bhi kaam na aa sake
to wohi kahein ke main kya karoon
(jafa=oppression, aabroo=honor)
mujhe gam bhi unka azeez hai
ke unhi di hui cheez hai
yehi gam hai ab meri zindagi
ise kaise dil se juda karoon
hai isi mein pyar ki aabroo
jo na ban sake main woh baat hoon
jo na khatam ho main woh raat hoon
yeh likha hai mere naseeb mein
yun hi shamma banke jala karoon
hai isi mein pyar ki aabroo
na kisi ke dil ki hoon aarzoo
na kisi nazar ki hoon justujoo
main woh phool hoon jo udas ho
na bahar aaye to kya karoon
hai isi mein pyar ki aabroo
है इसी में प्यार की आबरू
वोह जफा करें मैं वफ़ा करूं
जो वफ़ा भी काम न आ सके
तो वोही कहें के मैं क्या करूं
मुझे गम भी उनका अज़ीज़ है
के उन्ही दी हुई चीज़ है
यही गम है अब मेरी ज़िन्दगी
इसे कैसे दिल से जुदा करूं
है इसी में प्यार की आबरू
जो ना बन सके मैं वोह बात हूँ
जो ना ख़तम हो मैं वोह रात हूँ
यह लिखा है मेरे नसीब में
यूँ ही शम्मा बनके जला करूं
है इसी में प्यार की आबरू
ना किसी के दिल की हूँ आरजू
ना किसी नज़र की हूँ जुस्तुजू
मैं वोह फूल हूँ जो उदास हो
ना बहार आये तो क्या करूं
है इसी में प्यार की आबरू
Pakistan’s great ghazal singer Iqbal Bano passed away today in Lahore. May her soul rest in peace. Here is a small tribute to the great singer in the form of a wonderful ghazal sung by her. The poet is Baqi Siddiqui.
daag-e-dil humko yaad aane lage
log apne diye jalane lage
khud farebi si khud farebi hai
paas ke dhol b suhaane lage
ab to hota hai har qadam pe gumaan
hum yeh kaisa qadam uthane lage
ek pal mein wahan se hum uthe
baithne mein yahan zamane lage
Few more stanzas not sung by her in this mehfil (taken from here):
kuch na pakar bhi mutmain hain
ishq mein haath kya khazane lage (mutmain=Appeased, Quiescent)
apni qismat se hai maqar kisko
teer par ka ke bhi nishaane lage
silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
warna itne to marasim the k aate jaate (marasim=relations)
shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jaate (zulmat=darkness, shab=night)
kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana
fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate (hizar=separation)
jashan-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi paab-zoolan hi sahi naachte gaate jaate (maqtal=place of killing, barpa=start, paab=feet, zoolan=chained)
uski woh jaane use paas-e-wafa tha k na tha
tum Faraz apni taraf se to nibhaate jaate (paas-e-wafa=respect for love)