Author Archive > Sidhu

beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega

A very simple and beautiful ghazal by Ghulam Ali. I don’t know the name of the writer. If you know please post in the comments. You can listen to it here. beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega (khala – space, distance, vacuum) aks beh jayenge saare dhoop [...]

Continue reading

,

dukh fasana nahi ke tujh se kahein

dukh fasana nahi ke tujh se kahein aur dil bhi maana nahi ke tujh se kahein aj tak apni bekali ka sabbab khud bhi jana nahi ke tujh se kahein (bekali – restlessness) betarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahi ke tujh se kahein (betarah – unsteady) ek tu harfaashna tha magar ab zamana [...]

Continue reading

,

dekha jo aaina to mujhe sochna pada

dekha jo aaina to mujhe sochna pada khud se na mil saka to mujhe sochna pada uska jo khat mila to mujhe sochna pada apna sa woh laga to mujhe sochna pada mujhko tha yeh gumaan ke mujhi mein hai ik ana dekhi teri ana to mujhe sochna pada (ana – ego, self) dunia samjh [...]

Continue reading

, , ,

tumne bhi thukra hi diya hai

A beautiful qawali by Khan saab. I am not sure about the name of the writer. From the last stanza it seems that it was written by Mohsin Naqvi. If anyone can confirm/correct it, please post in the comments. tumne bhi thukra hi diya hai dunia se bhi door huye apni ana ke saare sheeshe [...]

Continue reading

, ,

zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha

Beautifully sung by Salma Agha. See in the end, Ahmed Faraz is in tears zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha (faqat=alone, zaib=ornament, hikayat=story, zaib-e-hikayat=existing only in story) hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log aate jaate huye mausam the, zamana [...]

Continue reading

,

meri likhi kavita…

Sent by one of my friend. An amazing poem by Surjit Patar saab. ਮੇਰੀ ਮਾਂ ਨੂੰ ਮੇਰੀ ਲਿਖੀ ਕਵਿਤਾ ਸਮਝ ਨਾ ਆਈ ਭਾਵੇਂ ਮੇਰੀ ਮਾਂ ਬੋਲੀ ਚ ਲਿਖੀ ਹੋਈ ਸੀ ਓਹ ਤਾਂ ਬਸ ਏਨਾ ਸਮਝੀ ਪੁੱਤ ਦੀ ਰੂਹ ਨੂੰ ਦੁਖ ਹੈ ਕੋਈ ਪਰ ਇਸਦਾ ਦੁਖ ਮੇਰੇ ਹੁੰਦਿਆਂ ਆਇਆ ਕਿਥੋਂ ? ਨੀਝ ਲਾ ਕੇ ਦੇਖੀ ਮੇਰੀ [...]

Continue reading

,

eh tere pyar de pattar

A wonderful ghazal sung by Jagjit Singh Zirvi. eh tere pyar de pattar main awein saambh rakhe ne eh tere pyar de pattar jo hun tak saambh rakhe ne na hun eh tumbde mainu na hai ehna ch nigh koi kadi veraan chup raatan ch je kar khol v behna na dil tadpaun hun mera [...]

Continue reading

,

milne Mehdi Hasan se…

Gulzar saab’s poetry for Mehdi Hasan for Aman ki Asha. aankhon ko visa nahi lagta sapnon ki sarhad hoti nahi band aakhon se roz main sarhad paar chala jaata hoon milne Mehdi Hasan se sunta hoon unki avaaz ko chot lagi hai ab kehte hain sookh gaye hain phool kitabon mein yaar Faraz bhi bichad [...]

Continue reading

,

nasib aajmaane ke din aa rahe hain

nasib aajmaane ke din aa rahe hain karib unke aane ke din aa rahe hain jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai sab unko sunane ke din aa rahe hain abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do k lutne-lutaane ke din aa rahe hain tapkane lagi un nigahon se masti nigahein churane ke [...]

Continue reading

,

hai isi mein pyar ki aabroo

A very nice song from Movie Anpadh sung by Lata Mangeshkar. Lyrics are by Raja Mehdi Ali Khan. hai isi mein pyar ki aabroo woh jafa karein main wafa karoon jo wafa bhi kaam na aa sake to wohi kahein ke main kya karoon (jafa=oppression, aabroo=honor) mujhe gam bhi unka azeez hai ke unhi di [...]

Continue reading

, ,

prev posts