Tag: Jagjit Singh

dekha jo aaina to mujhe sochna pada

dekha jo aaina to mujhe sochna pada
khud se na mil saka to mujhe sochna pada

uska jo khat mila to mujhe sochna pada
apna sa woh laga to mujhe sochna pada

mujhko tha yeh gumaan ke mujhi mein hai ik ana
dekhi teri ana to mujhe sochna pada

(ana – ego, self)

dunia samjh rahi thi ke naraz mujhse hai
lekin woh jab mila to mujhe sochna pada

ik din woh mere aib ginaane laga ‘Farag’
jab khud hi thak gaya to mujhe sochna pada

(aib – fault, vice)

देखा जो आइना तो मुझे सोचना पड़ा
खुद से ना मिल सका तो मुझे सोचना पड़ा

उसका जो ख़त मिला तो मुझे सोचना पड़ा
अपना सा वो लगा तो मुझे सोचना पड़ा

मुझको था यह गुमान के मुझी में है इक अना
देखी तेरी अना तो मुझे सोचना पड़ा

दुनिया समझ रही थी के नाराज़ मुझसे है
लेकिन वो जब मिला तो मुझे सोचना पड़ा

इक दिन मेरे वो मेरे ऐब गिनाने लगा ‘फराग’
जब खुद ही थक गया तो मुझे सोचना पड़ा

pyar ka pehla khat likhne mein

A wonderful ghazal by Jagjit Singh (Lyrics by Hasti)

pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai
naye parindo ko udne main waqt to lagta hai

jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha
lambi doori tai karne mein waqt to lagta hai

gaanth agar lag jaye to fir rishte ho ya dori
laakh karein koshish khulne mein waqt to lagta hai

hamne ilaaz-e-zakham-e-dil to dhoond liya lekin
gehre zakhmon ko bharne mein waqt to lagta hai

kya batayein k jaan gai kaise

Gulzar saab’s lyrics, sung by Jagjit Singh in Koi Baat Chale

kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise

kisne raste mein chaand rakha tha
mujh ko thokar wahan lagi kaise
kya batayein k jaan gai kaise

waqt pe paaon kab rakha hamne
zindagi moonh ke bal giri kaise
kya batayein k jaan gai kaise

aankh to bhar gai thi paani se
teri tasveer jal gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise