Category: Uncategorized

aap hain kyon khafa kuch pata to chale

Melody !

aap hain kyon khafa, kuch pata to chale
hai meri kya khata, kuch pata to chale
(khafa – angry, khata – fault)

aaj chehre pe rang-e-udaasi hai kyon
ae mere dilruba kuch pata to chale

aapke aur mere pyar ke darmiyaan
kyon hai ye faasila kuch pata to chale

main agar bewafa hoon to yun hi sahi
kaun hai bawafa kuch pata to chale
(bawafa – faithful)

आप हैं क्यों खफा, कुछ पता तो चले
है मेरी क्या खता, कुछ पता तो चले

आज चेहरे पे रंगे-उदासी क्यों
ऐ मेरे दिलरुबा कुछ पता तो चले

आपके और मेरे प्यार के दरमियान
क्यों है यह फासिला कुछ पता तो चले

मैं अगर बेवफा हूँ तो यूँ ही सही
कौन है बावफा कुछ पता तो चले

kyo tu acha lagta hai

Some amazing poetry at the end of Attaullah Khan’s performance of pyar naal na sahi in Coke Studio season 4.

httpv://www.youtube.com/watch?v=bciNIOOMomc

kyo tu acha lagta hai
waqt mila to sochenge
tujh mein kya kya dekha hai
waqt mila to sochenge
saara shahar shanaasai ka daawedaar to hai lekin
(shanaasai – Acquaintance)
kaun hamara apna hai
waqt mila to sochenge
humne usko likha tha
kuch milne ki tadbeer karo
(Tadbir – plan, arrangement)
usne likhkar bheja hai
waqt mila to sochenge
mausam, khusboo, baad-e-sabaa, chand, shafaq aur taaron mein
(baad-e-sabaa – Morning Breeze, shafaq – rainbow)
kaun tumaare jaisa hai
waqt mila to sochenge
ya to apne dil ki maano ya fir dunia walon ki
mashwara uska acha hai
(mashwara – advice)
waqt mila to sochenge
kyon tu acha lagta hai
waqt mila to sochenge

क्यों तू अच्छा लगता है
वक़्त मिला तो सोचेंगे
तुझ में क्या क्या देखा है
वक़्त मिला तो सोचेंगे
सारा शहर शानासाई का दावेदार तो है लेकिन
कौन हमारा अपना है
वक़्त मिला तो सोचेंगे
हमने उसको लिखा था
कुछ मिलने की तदबीर करो
उसने लिखकर भेजा है
वक़्त मिला तो सोचेंगे
मौसम, खुशबू, बादे-सबा, चाँद, शफक और तारों में
कौन तुमारे जैसा है
वक़्त मिला तो सोचेंगे
या तो अपने दिल की मानो
या फिर दुनिया वालों की
मशवरा उसका अच्छा है
वक़्त मिला तो सोचेंगे
क्यों तू अच्छा लगता है
वक़्त मिला तो सोचेंगे

beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega

A very simple and beautiful ghazal by Ghulam Ali. I don’t know the name of the writer. If you know please post in the comments. You can listen to it here.

beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega
tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega
(khala – space, distance, vacuum)

aks beh jayenge saare dhoop ke sailaab mein
aur koi paanion mein jhaankta reh jayega
tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega
(aks – image, reflection | sailaab – flood | jhaankta – looking)

muhjko mere humsafar aisa safar darpesh hai
raasta kat bhi gaya to faasla reh jayega
tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega
(darpesh – to face)

log so jayenge khamoshi ki chaadar od kar
chaand soone aanganon mein jaagta reh jayega
tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega
(aangan – yard)

jo kabhi usne padi thi mujhse ‘Nasir’ maang kar
naam mere un kitaabon mein likha reh jayega
tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega
beqarar tanhaiyon ka silsila reh jayega

बेक़रार तन्हाईओं का सिलसिला रह जायेगा
तेरे मेरे दरमियान बस एक खला रह जायेगा

अक्स बह जायेंगे सारे धुप के सैलाब में
और कोई पानिओं में झांकता रह जायेगा
तेरे मेरे दरमियान बस एक खला रह जायेगा

मुझको मेरे हमसफ़र ऐसा सफ़र दरपेश है
रास्ता कट भी गया तो फासला रह जायेगा
तेरे मेरे दरमियान बस एक खला रह जायेगा

लोग सो जायेंगे ख़ामोशी की चादर ओड कर
चाँद सूने आंगनों में जागता रह जायेगा
तेरे मेरे दरमियान बस एक खला रह जायेगा

जो कभी उसने पड़ी थी मुझसे ‘नासिर’ मांग कर
नाम मेरा उन किताबों में लिखा रह जायेगा
तेरे मेरे दरमियान बस एक खला रह जायेगा
बेक़रार तन्हाईओं का सिलसिला रह जायेगा

wohi palkon ka jhapkana

A wonderul ghazal by Ghulam Ali. I don’t know the name of the writer. If you know please leave a comment.

wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

tujh se main jism churata tha
magar ilam na tha
mera saaye se lipat jayenge
baazu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

teri aankhon mein pighalti rahi
soorat meri
meri tasveer pe girte rahe
aansu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere

aur kuch der agar
tej hawa chalti rahi
meri baahon mein bikhar jayenge
gesu tere
wohi palkon ka jhapkana
wohi jaadu tere
sare andaaz chura lai hai
khushbu tere
(gesu=hair)

har chand sahara hai tere pyar ka dil ko

A wonderful ghazal by Nayara Noor.

har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko

woh khawab k dekha na kabhi
le uda neendein
woh dard k utha na kabhi
kha gaya dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko

yahan saans ka lena b guzar jana hai jee se
yahan marka-e-ishq bhi ik khel qatil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko

woh aayein to hairaan
woh jaayien to pareshaan
ya rab koi samjhaye yeh kya ho gaya dil ko
har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko

I am not sure if this ghazal is complete or not. Also don’t know the name of the writer. If anybody knows, please post in the comments. So as per the comments the poet is Shohrat Bukhari