Category: Mehdi Hasan

tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi

Wonderful poetry by Tabassum saab. Mehdi Hasan rendered this ghazal. Listen it here on pz10.

tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi
mere seene mein hai larzan teri avaaz abhi
(larzan=trembling)

us ne dekha hi nahi dard ka aagaaz abhi
ishq ko apni tamannaon pe hai naaz abhi

tujh ko manzil pe pahunchane ka hai daava ham-dam
mujh ko  anjaam nazar aata hai aagaaz abhi

kis qadar gosh-bar-avaaz hai khamoshi-e-shab
koi naala ke hai fariyaad ka dar-baaz koi
(gosh=ear, naala=loud cry, dar-baaz=open door)

mere chehre ki hansi rang-e-shikasta mera
tere ashkon mein ‘Tabassum’ ka hai andaaz abhi
(rang-e-shikasta=color of defeat)

rafta rafta woh meri

One of the most popular ghazal of Mehdi Hasan. Its written by Tasleem Fazli.

rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
pehle jaan phir jaan-e-jaan fer jaan-e-jaana ho gaye

din-ba-din badti gai us husan ki raanaiyan
pehle gul fir gul-badan fir gul-badaama ho gaye
rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
(raanai=beauty)

aap to nazdik se nazdik-tar aate gaye
pehle dil fir dil-ruba fir dil ke mehmaan ho gaye
rafta rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye

main hosh mein tha

A masterpiece by Mehdi Hasan:

main hosh mein tha to phir us pe mar gaya kaise
yeh zeher mere lahoo mein utar gaya kaise

kuch us ke dil mein lagawat zaroor thi warna
woh mera haath daba ke guzar gaya kaise
(lagawat – affection, love)

zaroor us ki tawajoh ki rehbari ho gi
nashe mein tha to main apne hi ghar gaya kaise
(rehbar – guide, tawajoh – liking, close attention)

jise bhulaye kai saal ho gaye ‘Kamil’
main aaj us ki gali se guzar gaya kaise…

I am not sure about the name of the writer. Is it Rashid Kamil or someone else. If anybody has an idea, please do leave a comment.

Update : As per few sources online & also by the comment on this post, I came to know that it has been written by Kamil Chandpuri.

yaaro kisi kaatil se…

This one is sung by Mehdi Hassan. Simply awesome. Very simple wording and just beautiful. At the moment I don’t know the name of the poet. Will try to find out.

yaaro kisi kaatil se kabi pyar na mango
apne hi gale ke liye talwaar na mango

gir jauge tum apne maseeha ki nazar se
mar kar bhi ilaaz-e-dil-e-bimar na mango

sach baat pe milta hai sada zeher ka pyala
jeena hai to fir jurrat-e-izhaar na mango

khul jayega is tarah nigahon ka bharam bhi
kaanton se kabhi phool ki mehkaar na mango

us cheez ka kya zikar jo mumkin hi nahi hai
sehra mein kabhi saya-e-dewaar na mango

ranjish hi sahi…

One of my favourite. Its written by Ahmed Faraz. Sung by many singers but the one by Mehdi Hasan is just awesome. Listen it here.

ranjish hi sahi dil hi dukhaane k liye a
a phir se mujhe chod k jaane k liye a

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe dunia hi nibhane k liye a
(marasim-relationship)

kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane k liye a

kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane k liye a
(pindaar-pride,self-esteem)

ek umar se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jaan mujh ko rulane k liye a
(giriya-crying)

ab tak dil-e-khush-faham ko tujh se hai umeedein
yeh aakhri shamein bhi bujhane k liye a

Few more stanazas written by Talib Baghpati on the same rythm. Mehdi Hassan almost always sings along with the original ghazal.

mana k mohabbat ka chipana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane k liye a

jaise tujhe aate hain na aane k bahane
aise hi kisi roz na jaane k liye a…