Category: Jagjit Singh

pehle to apne dil ki raza jaan jaiye

Beautiful words and sung equally beautifully sung by Jagjit & Chitra Singh

pehle to apne dil ki raza jaan jaiye
phir jo nigah-e-yaar kahe maan jaiye

(raza – will, desire)

pehle mizaaj-e-rahguzar jaan jaiye
phir gard-e-raah jo bhi kahe maan jaiye

(mizaaj – temperament, rahguzar – path. gard – dirt, raah – street)

kuch keh rahi hain aapke seene ki dhadkanein
mera nahi to dil ka kaha maan jaiye

Few websites have written this as “meri sunein ton dil ka kaha maan jaiye” but Jagjit & Chitra and Noorjehan has sung it as “mera nahi to dil ka kaha maan jaiye” only.

ek dhoop si jami hai nigaahon ke aas paas
ye aap hain to aap pe qurbaan jaiye

shayad huzoor se koi nisbat hamein bhi ho
aankhon mein jhaank kar hamein pehchaan jaiye

(nisbat – relation, affinity)

पहले तो अपने दिल की रज़ा जान जाइये
फिर जो निगाह-ए-यार कहे मान जाइये

पहले मिज़ाज-ए-रहगुज़र जान जाइये
फिर गर्द-इ-राह जो भी कहे मान जाइये

कुछ कह रही हैं आपके सीने की धडकनें
मेरा नहीं तो दिल का कहा मान जाइये

एक धुप सी जमी है निगाहों के आस पास
ये आप हैं तो आप पे कुर्बान जाइये

शायद हुज़ूर से कोई निस्बत हमें भी हो
आँखों में झाँक कर हमें पहचान जाइये

 

 

muhabbaton mein dikhaave ki dosti na mila

Beauty of Bashir Badr saab’s poetry

muhabbaton mein dikhaave ki dosti na mila
agar gale nahi milta to haath bhi na mila

gharon pe naam the naamon ke saath ohade the
bahut talaash kiya koi aadmi na mila
(uhde-(job) title)

tamaam rishton ko main ghar pe chhod aya tha
phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila

bahut ajeeb hai yeh qurbaton ki doori bhi
wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila
(qurbatein-closeness)

khuda ki itni badi qaynaat mein maine
bas ek shaks ko maanga mujhe wo hi na mila

 

मुहबतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला

तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उसके बाद मुझे कोई अजनबी न मिला

खुदा की इतनी बड़ी कायनात में मैंने
बस एक शख्स को माँगा मुझे वही न मिला

बहुत अजीब है ये कुरबतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला

And here is a rendition by Jagjit Singh

httpv://www.youtube.com/watch?v=oECbJYXtMEs

dekha jo aaina to mujhe sochna pada

dekha jo aaina to mujhe sochna pada
khud se na mil saka to mujhe sochna pada

uska jo khat mila to mujhe sochna pada
apna sa woh laga to mujhe sochna pada

mujhko tha yeh gumaan ke mujhi mein hai ik ana
dekhi teri ana to mujhe sochna pada

(ana – ego, self)

dunia samjh rahi thi ke naraz mujhse hai
lekin woh jab mila to mujhe sochna pada

ik din woh mere aib ginaane laga ‘Farag’
jab khud hi thak gaya to mujhe sochna pada

(aib – fault, vice)

देखा जो आइना तो मुझे सोचना पड़ा
खुद से ना मिल सका तो मुझे सोचना पड़ा

उसका जो ख़त मिला तो मुझे सोचना पड़ा
अपना सा वो लगा तो मुझे सोचना पड़ा

मुझको था यह गुमान के मुझी में है इक अना
देखी तेरी अना तो मुझे सोचना पड़ा

दुनिया समझ रही थी के नाराज़ मुझसे है
लेकिन वो जब मिला तो मुझे सोचना पड़ा

इक दिन मेरे वो मेरे ऐब गिनाने लगा ‘फराग’
जब खुद ही थक गया तो मुझे सोचना पड़ा

pyar ka pehla khat likhne mein

A wonderful ghazal by Jagjit Singh (Lyrics by Hasti)

pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai
naye parindo ko udne main waqt to lagta hai

jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha
lambi doori tai karne mein waqt to lagta hai

gaanth agar lag jaye to fir rishte ho ya dori
laakh karein koshish khulne mein waqt to lagta hai

hamne ilaaz-e-zakham-e-dil to dhoond liya lekin
gehre zakhmon ko bharne mein waqt to lagta hai

kya batayein k jaan gai kaise

Gulzar saab’s lyrics, sung by Jagjit Singh in Koi Baat Chale

kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise

kisne raste mein chaand rakha tha
mujh ko thokar wahan lagi kaise
kya batayein k jaan gai kaise

waqt pe paaon kab rakha hamne
zindagi moonh ke bal giri kaise
kya batayein k jaan gai kaise

aankh to bhar gai thi paani se
teri tasveer jal gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise