us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai yun to kehne ko sabhi kehte hain yun hain yun hain (fusun - magic)

jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saya na darun hai na barun hai yun hai (dar-e-dil - door of heart, sitaada - standing, darun - inner, barun - outer)

tum ne dekhi hi nahi dasht-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khar pe ik qatra-e-khoon hai yun hai (dasht - desert, khar - thorn, qatra - drop)

tum muhabbat mein kahan sood-o-ziyan le aaye ishq ka naam khird hai na junoon hai yun hai (sood-o-ziyan - profit & loss, khird - intellect)

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne ab to dariya mein talatum na sukoon hai yun hai (talatum - dashing of waves)

naseha tujh ko khabar kya ki muhabbat kya hai roz aa jata hai samjhaata hai yun hai yun hai (naseha - preacher)

shayri taaza zamanon ki hai may’maar Faraz ye bhi ik silsila-e-kun-fayakun hai yun hai (may’maar - builder,architect, kun-fayakun - “be” & “it is”. Google for the detailed meaning )