ab tere mere beech zara faasla bhi ho

ab tere mere beech zara faasla bhi ho
hum log jab milein to koi doosra bhi ho

tu jaanta nahi meri chahat ajeeb hai
mujh ko mana raha hai kabhi khud khafa bhi ho

tu bewafa nahi hai magar bewafai kar
uski nazar mein rehne ka koi silsila bhi ho

patjhad ke toot-te hue patton ke saath-saath
mausam kabhi to badlega yeh aasra bhi ho

chupchaap usko baithe k dekhoon tamaam raat
jaaga hua bhi ho koi soya hua bhi ho

uske liye to maine yahan tak duayein ki
meri tarah se koi use chahta bhi ho

7 Comments

  1. Pardhaan.. sapp hai bai eh… siddha dangg reha…
    ‘uske liye to maine yahan tak duayein ki
    meri tarah se koi use chahta bhi ho’

    snake aa bai…

  2. Beware intensity increases with each line

    maangti hai tu faasla, mein to de bhi doon
    par en kaadmon ka kya jo sirf tera hi raasta jante hain

    kaheti hai tu ke tere chahat ajeeb hai
    par is chahat ka kya jo ek sheeshe ke paar jaise hai

    maangti hai tu khafai, mein to de bhi doon
    par is dil ka kya jo kaatre kaatre khoon tere naam ka hi maangta hai

    kaheti hai tu ke koi silsila bhi ho, zara dhyan se sun
    har saans is shareek ki aanginat silsile tere pyaar ke keheti hein

    maangti hai to badle mausam, mein to badal bhi doon
    per us eshwar ka kya jo is shristi ko sambhaalne ka naatak karta hai

    chupchaap baithe ke dekhtee thi tu, paal paal un raaton ka mera swarg tha,
    per hoon to insaan hi aakhir, tere pyaar ki boond boond ka pyasa

    sooch samaj ke maangna, tere pyaar ka ye deewana kuch bhi karega
    faasla, khafaiat, doori to kya, tere kushi ke liya aapne dil ka kaatal bhi karega

    keheta hun ek baar phir, sooch samaj ke maangna
    kyoki chaahyen ye aasma faat jaye ya ye jaan nikal jaye,
    tere liye to mein bewafai bhi kar jaaunga…………..

    — By Shri Great maha super guru Vaibhav Garg Ji dehradun wale 😡

  3. the above in Hindi

    (amardeep yaar type in Hindi. it is easy .. took me two minutes)

  4. Oh man o man…great…turning poet 😉

    Yea, will try to write in Hindi as well !

  5. ‘BLOG’ tera paDha to mujhe sochna padaa
    Main kuch na likh sakaa to mujhe sochna padaa
    Mujhko thha yeh gumaa.N ke mujh hi mein hai ek Ada
    Dekhi teri ada to mujhe sochna padaa
    (|) keep it up…very good.
    =

  6. Thank you bai for the kind words 🙂

  7. very good poem. you can type in hindi by going to settings and selecting the language. keep writing.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *