aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein

aaj fir dil ne kaha aao bhula dein yaadein
zindagi beet gai aur wahi yaadein-yaadein

jis tarah aaj hi bichde hon bichadane wale
jaise ek umar ke dukh yaad dila dein yaadein

kaash mumkin ho k ek kaagzi kashti ki tarah
khud-faramoshi ke dariya mein baha dein yaadein

woh bhi rutt aaye k ae zood-faramosh mere
fool patte teri yaadon mein bicha dein yaadein
(zood-faramosh=jaldi bhoolne wala)

jaise chahat bhi koi zurm ho aur zurm bhi woh
jiski padaash mein ta-umar saza dein yaadein
(padaash=zurm ki saza)

bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
warna insaan ko pagal na bana dein yaadein
(ne(h)mat=blessing)

5 Comments

  1. Baba ji bohat hee kaim… kmaal likhya hai Faraz saab ne…

    Par word ‘jood-faramosh’ nahi hai… it’s ‘zood-faramosh’

  2. “bhool jana bhi to ik tarah ki ne(h)mat hai Faraz
    warna insaan ko pagal na bana dein yaadein” bahut Khoooob……

  3. wah nice poetry really heart touching!

  4. Lovely lovely words. Thank you for sharing this. Has anyone sung this ghazal?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *