Month: December 2008

kya batayein k jaan gai kaise

Gulzar saab’s lyrics, sung by Jagjit Singh in Koi Baat Chale

kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise

kisne raste mein chaand rakha tha
mujh ko thokar wahan lagi kaise
kya batayein k jaan gai kaise

waqt pe paaon kab rakha hamne
zindagi moonh ke bal giri kaise
kya batayein k jaan gai kaise

aankh to bhar gai thi paani se
teri tasveer jal gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
kya batayein k jaan gai kaise
fir se dohraayein woh ghadi kaise

iska socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri

Ahmed Faraz

iska socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri
woh kyamat hi ganimat thi jo yakja guzri

(ganimat=blessing, yakja=together)

aa gale tujh ko laga loon mere pyare dushman
ik meri baat nahi tujh pe bhi kya-kya guzri

main to sehra k tapish, tishna-labi bhool gaya
jo mere ham-nafson par lab-e-dariya guzri

(tapish=warmth, heat, tishna-labi=thrist, ham-nafson=friends, lab=bank, kinara)

aaj kya dekh ke bhar aai hain teri aakhein
hum pe eh dost yeh saat to hamesha guzri

(saat=moment)

meri tanha-safri mera mukaddar di Faraz
warna es shahar-e-tamanna se to dunia guzri

aashiqi bedili se mushkil hai

Ahmed Faraz

aashiqi bedili se mushkil hai
phir mohabbat usi se mushkil hai

ishq aagaaz hi se mushkil hai
sabar karna abhi se mushkil hai

ham tan-aasan hain aur hamare liye
dushmani, dosti se mushkil hai

(tan-aasan=lazy, kahil)

jisko sab bewafa samjhte hon
bewafai usi se mushkil hai

ek ko doosre se sahel na jaan
har koi har kisi se mushkil hai

(sahel=approachable)

tu ba-zid hai to ja Faraz magar
wapisi us gali se mushkil hai

main zara turna ki sikhia…

main zara turna ki sikhia, raah samundar ho gaye
fir pata nahi pair mere kis taran par ho gaye

si mere seene ch enni pyar tere di agan
dhal gaye sab teer khanjar dhal ke baktar ho gaye

pehlan tan main aatma tak paardarshi hi rahi
fir tere chumman meri kaya de bastar ho gaye

mere dil wich dard de lakhan parinde kaid sann
bas teri ik shoh de sadka sabh sutantar ho gaye

umar de aaukhe safar wich tu jo mainu mil pia
raahan de angiaar v fullan barabar ho gaye…